Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho,
Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho,
Naz uss kay na uthao to shikayat na kary,
Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.
Get Free Friendship English Sweet SMS Messages Nice Quotes Jokes English Friendship SMS Messages Fresh Valentines Day SMS,Christmas Eid Message Urdu Sms Messages Facebook Status Funny Sms Ramdan Messages
SMS Message To All
Showing posts with label Urdu Poetry SMS. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry SMS. Show all posts
Friday, 20 July 2012
Nikal aty hain ansu rone se pehly
Nikal aty hain ansu rone se pehly,
Toot jate hain? sab khawb sone se pehly,
kehty hein k pyar ik saza hy,
kash koi rok sakta pyar hone se pehly,
Labels:
Urdu Poetry SMS
Chand utra tha hamare angan me
Chand utra tha hamare angan me,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila kare,
jab chand hi hamra na hua.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Tumhary KHAWAB sajany main lutaf atta hay
Tumhary KHAWAB sajany main lutaf atta hay
K apna ap JALANAY main lutaf atta hay
Khuda sy apnay leay MANGTA hon jb tum ko
Mujhe yeh HATH uthany main lutaf atta hay
Labels:
Urdu Poetry SMS
Teri yaad me zara aankhe bhigo lu
Teri yaad me zara aankhe bhigo lu
Udas raat ki tanhai me so lu
Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi
Agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu…..
Labels:
Urdu Poetry SMS
Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja rahay Hain Log
Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja rahay Hain Log,
Janat Tou Karbala Mein Khareedi HUSSAIN (R.A) ne,
Dunya o Aakhrat Mein Jo Rehna Ho Chain Se,
Jeena ALI se Seekho Marna HUSSAIN se…
Labels:
Urdu Poetry SMS
Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue
Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue
Mehsoos Hua Tab, Jab Wo Juda Hue
Karke Wafa Kuchh DE Na Sake Wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb Wo Bewafa Hue
Labels:
Urdu Poetry SMS
Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha
Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha,
Utha hai dil mein Tamashay ka aaj shoq …bohat!
Jhuka k sir ko sabhi Shah-Parast Bol uthay,
Huzoor shoq salamat rahay shehar aur bohat..
Labels:
Urdu Poetry SMS
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,
Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi
Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi
Per Bi Khush Hun Mujhe Us Se Koi Gila Nahi
Or Kitne Aanso Bahaon Us K Liye
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Hi Nahi
Labels:
Urdu Poetry SMS
kaash wo nagme humein sunaye na hote
kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho
Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho,
Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho,
Naz uss kay na uthao to shikayat na kary,
Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.
Labels:
Urdu Poetry SMS
kya acha kya bura kya bhala dekha
kya acha kya bura kya bhala dekha,
ab bhi dekha tuhe apne ru ba ru dekha,
socha bahut bhulkar sochun na tujhe,
jis raat ankh lagi fir tujhe har su dekha.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Maqrooz-e gham-e deeda-e tar hai tera Mohsin
Maqrooz-e gham-e deeda-e tar hai tera Mohsin
Muddat say yoonhi khaak\’basar hai tera Mohsin
Shaiyed kisi rastay ki hawa teri khabar day
Iss waastay masroof-e safar hai tera Mohsin
Labels:
Urdu Poetry SMS
Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai
Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
Logon ko Hasana To Aata Hai,
Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Dard Jeet Jata Hai.. Log Milty Julty Hain.. Sath Sath Chalty Hain..
Dard Jeet Jata Hai..
Log Milty Julty Hain..
Sath Sath Chalty Hain..
Sath Sath Chalne Main..
Ranjishein Bi Hoti Hain..
Ranjishon Main Bi Lekin..
Chahatein Bi Hoti Hain..
Chahaton Ki Bi Har Pal..
Ik Ajab Kahani Hai..
Hot Hansty Rehty Hain..
Ankhein Bheeg Jati Hain..
Bheegi Si Nigahon Main..
Khuwab Jalty Bujty Hain..
Dard Ke Is Safar Main Kuch..
Aisy Mor Bi Aty Hain..
Khuwab Toot Jaty Hain..
Sath Choot Jaty Hain..
Kircheian Uthaney Main..
Waqt Beet Jata Hai..
Dard Jeet Jata Hai..
Labels:
Urdu Poetry SMS
Unse milne ko jo sochon ab wo zamana nhi
Unse milne ko jo sochon ab wo zamana nhi
Ghar bhi kaise jaun ab to koi bahana nahi,,
Mujhe yaad rakhna kahi tum bhola na dena
Mana ke barson se teri gali me anajana nhi,,
Labels:
Urdu Poetry SMS
Salon bad najane kia sama hoga
Salon bad najane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,
Phr milna hua to milenge khuwabo me,
Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!
Labels:
Urdu Poetry SMS
Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi
Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi
Phir is tanha raat me teri yaad chali ayi
Door tujhse rehkar ye saans tham chuki thi
Jo kanhin naam tera aaya to saans chali ayi.
Labels:
Urdu Poetry SMS
Subscribe to:
Posts (Atom)